burida baazuon mein vo parind laala-baar tha
shikaariyon ke ghol mein ajeeb intishaar tha
hare falon ko todti hui hawa guzar gai
bujhi bujhi fazaa mein har darakht sogwaar tha
safar ka aakhiri padaav aa gaya tha aur main
jo hum-safar bichhad rahe the un pe ashk-baar tha
gaye the ham bhi bahar ki tahon mein jhoomte hue
har ek seep ke labon mein sirf regzaar tha
dhuli dhuli fazaa mein ho gai abas vo justuju
ki manzar-e-nazar-nawaaz to pas-e-ghubaar tha
dam-e-sehar na jaane jaane kaun aa gaya use
ravaan the ashk ankhadiyon se haath mein sitaar tha
jo waqt aa gaya tamaam teer tootte gaye
usi nayi kamaan pe to mujhe bhi e'tibaar tha
baras rahi thi aag is dayaar-e-sang mein magar
mere lahu mein gul-fishaan vo champai azaar tha
ajeeb thi sarishta bhi hamaare dhaan paan ki
kabhi to bahr-e-be-karan kabhi saraab-zaar tha
बुरीदा बाज़ुओं में वो परिंद लाला-बार था
शिकारियों के ग़ोल में अजीब इंतिशार था
हरे फलों को तोड़ती हुई हवा गुज़र गई
बुझी बुझी फ़ज़ा में हर दरख़्त सोगवार था
सफ़र का आख़िरी पड़ाव आ गया था और मैं
जो हम-सफ़र बिछड़ रहे थे उन पे अश्क-बार था
गए थे हम भी बहर की तहों में झूमते हुए
हर एक सीप के लबों में सिर्फ़ रेगज़ार था
धुली धुली फ़ज़ा में हो गई अबस वो जुस्तुजू
कि मंज़र-ए-नज़र-नवाज़ तो पस-ए-ग़ुबार था
दम-ए-सहर न जाने जाने कौन आ गया उसे
रवाँ थे अश्क अँखड़ियों से हाथ में सितार था
जो वक़्त आ गया तमाम तीर टूटते गए
उसी नई कमाँ पे तो मुझे भी ए'तिबार था
बरस रही थी आग इस दयार-ए-संग में मगर
मिरे लहू में गुल-फ़िशाँ वो चम्पई अज़ार था
अजीब थी सरिश्त भी हमारे धान पान की
कभी तो बहर-ए-बे-कराँ कभी सराब-ज़ार था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambar Bahraichi
our suggestion based on Ambar Bahraichi
As you were reading Hijr Shayari Shayari