chehron pe zar-posh andhere phaile hain | चेहरों पे ज़र-पोश अंधेरे फैले हैं

  - Ambar Bahraichi

chehron pe zar-posh andhere phaile hain
ab jeene ke dhang bade hi mehnge hain

haathon mein suraj le kar kyun firte hain
is basti mein ab deeda-war kitne hain

qadron ki shab-razi par hairaani kyun
zehnon mein ab kaale suraj palte hain

har bhare jungle kat kar ab shehar hue
banjaare ki aankhon mein sannaate hain

phoolon waale taapu to gharqaab hue
aag agle naye jazeera ubhre hain

us ke boseeda-kapdon par mat jaao
mast qalander ki jholi mein heere hain

zikr karo ho mujh se kya tughyaani ka
saahil par hi apne rain basere hain

is waadi ka to dastoor niraala hai
phool saroon par kankar patthar dhote hain

ambar laakh sawaa pankhi mausam aayein
woloon ki zad mein anmol parinde hain

चेहरों पे ज़र-पोश अंधेरे फैले हैं
अब जीने के ढंग बड़े ही महँगे हैं

हाथों में सूरज ले कर क्यूँ फिरते हैं
इस बस्ती में अब दीदा-वर कितने हैं

क़द्रों की शब-रेज़ी पर हैरानी क्यूँ
ज़ेहनों में अब काले सूरज पलते हैं

हर भरे जंगल कट कर अब शहर हुए
बंजारे की आँखों में सन्नाटे हैं

फूलों वाले टापू तो ग़र्क़ाब हुए
आग अगले नए जज़ीरे उभरे हैं

उस के बोसीदा-कपड़ों पर मत जाओ
मस्त क़लंदर की झोली में हीरे हैं

ज़िक्र करो हो मुझ से क्या तुग़्यानी का
साहिल पर ही अपने रेन बसेरे हैं

इस वादी का तो दस्तूर निराला है
फूल सरों पर कंकर पत्थर ढोते हैं

'अम्बर' लाख सवा पंखी मौसम आएँ
वोलों की ज़द में अनमोल परिंदे हैं

  - Ambar Bahraichi

Sooraj Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ambar Bahraichi

As you were reading Shayari by Ambar Bahraichi

Similar Writers

our suggestion based on Ambar Bahraichi

Similar Moods

As you were reading Sooraj Shayari Shayari