dhyaan mein aa kar baith gaye ho tum bhi naan
mujhe musalsal dekh rahe ho tum bhi naan
de jaate ho mujh ko kitne rang naye
jaise pehli baar mile ho tum bhi naan
har manzar mein ab ham dono hote hain
mujh mein aise aan base ho tum bhi naan
ishq ne yun dono ko aamez kiya
ab to tum bhi kah dete ho tum bhi naan
khud hi kaho ab kaise sanwar sakti hoon main
aaine mein tum hote ho tum bhi naan
ban ke hasi honton par bhi rahte ho
ashkon mein bhi tum bahte ho tum bhi naan
meri band aankhen tum padh lete ho
mujh ko itna jaan chuke ho tum bhi naan
maang rahe ho ruksat aur khud hi
haath mein haath liye baithe ho tum bhi naan
ध्यान में आ कर बैठ गए हो तुम भी ना
मुझे मुसलसल देख रहे हो तुम भी ना
दे जाते हो मुझ को कितने रंग नए
जैसे पहली बार मिले हो तुम भी ना
हर मंज़र में अब हम दोनों होते हैं
मुझ में ऐसे आन बसे हो तुम भी ना
इश्क़ ने यूँ दोनों को आमेज़ किया
अब तो तुम भी कह देते हो तुम भी ना
ख़ुद ही कहो अब कैसे सँवर सकती हूँ मैं
आईने में तुम होते हो तुम भी ना
बन के हँसी होंटों पर भी रहते हो
अश्कों में भी तुम बहते हो तुम भी ना
मेरी बंद आँखें तुम पढ़ लेते हो
मुझ को इतना जान चुके हो तुम भी ना
माँग रहे हो रुख़्सत और अब ख़ुद ही
हाथ में हाथ लिए बैठे हो तुम भी ना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ambreen Haseeb Ambar
our suggestion based on Ambreen Haseeb Ambar
As you were reading Valentine Shayari Shayari