bhadki hui hai sham-e-shabistaan-e-zindagi | भड़की हुई है शम-ए-शबिस्तान-ए-ज़िंदगी

  - Ameen Hazin

bhadki hui hai sham-e-shabistaan-e-zindagi
shola na choom le kahi daaman-e-zindagi

marne ke baad phoolon se turbat nawaaz di
hota hai kaun zeest mein pursaan-e-zindagi

aish-o-khushi nashaat-o-tarab raahat-o-sukoon
hain in se badh ke kaun hareefaan-e-zindagi

baar-e-alam uthaane ke qaabil bana diya
kya kam hua hai mujh pe ye ehsaan-e-zindagi

aaghaaz-e-baab-e-nau hai meri maut ai ameen
tabdeel kar raha hoon main unwaan-e-zindagi

भड़की हुई है शम-ए-शबिस्तान-ए-ज़िंदगी
शो'ला न चूम ले कहीं दामान-ए-ज़िंदगी

मरने के बाद फूलों से तुर्बत नवाज़ दी
होता है कौन ज़ीस्त में पुरसान-ए-ज़िंदगी

ऐश-ओ-ख़ुशी नशात-ओ-तरब राहत-ओ-सुकूँ
हैं इन से बढ़ के कौन हरीफ़ान-ए-ज़िंदगी

बार-ए-अलम उठाने के क़ाबिल बना दिया
क्या कम हुआ है मुझ पे ये एहसान-ए-ज़िंदगी

आग़ाज़-ए-बाब-ए-नौ है मिरी मौत ऐ 'अमीन'
तब्दील कर रहा हूँ मैं उन्वान-ए-ज़िंदगी

  - Ameen Hazin

Qabr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameen Hazin

As you were reading Shayari by Ameen Hazin

Similar Writers

our suggestion based on Ameen Hazin

Similar Moods

As you were reading Qabr Shayari Shayari