yun dil hai sar-b-sajda kisi ke huzoor mein | यूँ दिल है सर-ब-सज्दा किसी के हुज़ूर में

  - Ameen Hazin

yun dil hai sar-b-sajda kisi ke huzoor mein
jaise ki ghota-zan ho koi behr-e-noor mein

hans hans ke kah rahi hai chaman ki kali kali
aata hai lutf husn ko apne zuhoor mein

saaqi nigah-e-mast se deta hai jab kabhi
lagte hain chaar chaand hamaare suroor mein

khaayein janaab-e-sheikh fareb-e-qayaas-o-wahm
ye kaif-e-jaan-nawaaz kahaan chashm-e-hoor mein

misl-e-kaleem kaun sune lan-taraaniyaan
mere liye kashish hi kahaan koh-e-toor mein

besh az do harf apni nahin daastaan-e-dard
ham gir ke aasmaan se atke khajoor mein

ye shokhiyaan kalaam mein yoonhi nahin ameen
padhne chale hain aap ghazal raampur mein

यूँ दिल है सर-ब-सज्दा किसी के हुज़ूर में
जैसे कि ग़ोता-ज़न हो कोई बहर-ए-नूर में

हँस हँस के कह रही है चमन की कली कली
आता है लुत्फ़ हुस्न को अपने ज़ुहूर में

साक़ी निगाह-ए-मस्त से देता है जब कभी
लगते हैं चार चाँद हमारे सुरूर में

खाएँ जनाब-ए-शैख़ फ़रेब-ए-क़यास-ओ-वहम
ये कैफ़-ए-जाँ-नवाज़ कहाँ चश्म-ए-हूर में

मिस्ल-ए-कलीम कौन सुने लन-तरानियाँ
मेरे लिए कशिश ही कहाँ कोह-ए-तूर में

बेश अज़ दो हर्फ़ अपनी नहीं दास्तान-ए-दर्द
हम गिर के आसमान से अटके खजूर में

ये शोख़ियाँ कलाम में यूँही नहीं 'अमीं'
पढ़ने चले हैं आप ग़ज़ल रामपूर में

  - Ameen Hazin

Maikashi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameen Hazin

As you were reading Shayari by Ameen Hazin

Similar Writers

our suggestion based on Ameen Hazin

Similar Moods

As you were reading Maikashi Shayari Shayari