raasta chalte hue do ham-kadam gusse mein hai | रास्ता चलते हुए दो हम-क़दम ग़ुस्से में है

  - Ameer Imam

raasta chalte hue do ham-kadam gusse mein hai
hamse duniya aur is duniya se ham gusse mein hai

likh nahi paati jo likhna chahti hai ungaliyaan
kya hua jaane ke haathon se kalam gusse mein hai

muskuraa baithe hain tujhko muskurata dekhkar
varna teri muskurahat ki kasam gusse mein hai

aa raha hai ek rasool-e-husn aayi hai khabar
kaab-e-dil mein rakhe saare sanam gusse mein hai

meri saanson ne jo unka badh ke bosa le liya
kaakulen gusse mein hai zulfon ke kham gusse mein hai

achha lagta hai bahut kahte hai hamse log jab
vo bhi gusse mein hai lekin tumse kam gusse mein hai

रास्ता चलते हुए दो हम-क़दम ग़ुस्से में है
हमसे दुनिया और इस दुनिया से हम ग़ुस्से में है

लिख नहीं पाती जो लिखना चाहती हैं उँगलियाँ
क्या हुआ जाने के हाथों से क़लम ग़ुस्से में है

मुस्कुरा बैठे हैं तुझको मुस्कुराता देखकर
वरना तेरी मुस्कराहट की क़सम ग़ुस्से में है

आ रहा है इक रसूल-ए-हुस्न आई है ख़बर
काबा-ए-दिल में रखे सारे सनम ग़ुस्से में है

मेरी साँसों ने जो उनका बढ़ के बोसा ले लिया
काकुलें ग़ुस्से में हैं जुल्फ़ों के ख़म ग़ुस्से में है

अच्छा लगता है बहुत कहते हैं हमसे लोग जब
वो भी ग़ुस्से में है लेकिन तुमसे कम ग़ुस्से में है

  - Ameer Imam

Kiss Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Imam

As you were reading Shayari by Ameer Imam

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Imam

Similar Moods

As you were reading Kiss Shayari Shayari