kuchh khaar hi nahin mere daaman ke yaar hain
gardan mein tauq bhi to ladakpan ke yaar hain
seena ho kushtagaan-e-mohabbat ka ya gala
dono ye tere khanjar-e-aahan ke yaar hain
khaatir hamaari karta hai dair-o-haram mein kaun
ham to na shaikh ke na brahman ke yaar hain
kya poochta hai mujh se nishaan sail-o-bark ka
dono qadeem se mere khirman ke yaar hain
kya garm hain ki kahte hain khubaan-e-lakhnau
london ko jaayen vo jo firangan ke yaar hain
vo dushmani karein to karein ikhtiyaar hai
ham to adoo ke dost hain dushman ke yaar hain
kuchh is chaman mein sabza-e-begaana ham nahin
nargis ke dost laala-o-sousan ke yaar hain
kaante hain jitne vaadi-e-ghurbat ke ai junoon
sab aasteen ke jeb ke daaman ke yaar hain
gum-gashtagi mein raah bataata hai ham ko kaun
hai khizr jin ka naam vo rehzan ke yaar hain
chalte hain shauq-e-bark-e-tajalli mein kya hai khauf
cheete tamaam waadi-e-aiman ke yaar hain
peeri mujhe chhudaati hai ahbaab se ameer
dandaan nahin ye mere ladakpan ke yaar hain
कुछ ख़ार ही नहीं मिरे दामन के यार हैं
गर्दन में तौक़ भी तो लड़कपन के यार हैं
सीना हो कुश्तगान-ए-मोहब्बत का या गला
दोनों ये तेरे ख़ंजर-ए-आहन के यार हैं
ख़ातिर हमारी करता है दैर-ओ-हरम में कौन
हम तो न शैख़ के न बरहमन के यार हैं
क्या पूछता है मुझ से निशाँ सैल-ओ-बर्क़ का
दोनों क़दीम से मिरे ख़िर्मन के यार हैं
क्या गर्म हैं कि कहते हैं ख़ूबान-ए-लखनऊ
लंदन को जाएँ वो जो फिरंगन के यार हैं
वो दुश्मनी करें तो करें इख़्तियार है
हम तो अदू के दोस्त हैं दुश्मन के यार हैं
कुछ इस चमन में सब्ज़ा-ए-बेगाना हम नहीं
नर्गिस के दोस्त लाला-ओ-सौसन के यार हैं
काँटे हैं जितने वादी-ए-ग़ुर्बत के ऐ जुनूँ
सब आस्तीं के जेब के दामन के यार हैं
गुम-गश्तगी में राह बताता है हम को कौन
है ख़िज़्र जिन का नाम वो रहज़न के यार हैं
चलते हैं शौक़-ए-बर्क़-ए-तजल्ली में क्या है ख़ौफ़
चीते तमाम वादी-ए-ऐमन के यार हैं
पीरी मुझे छुड़ाती है अहबाब से 'अमीर'
दंदाँ नहीं ये मेरे लड़कपन के यार हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Minai
our suggestion based on Ameer Minai
As you were reading Intiqam Shayari Shayari