baat karne mein to jaati hai mulaqaat ki raat | बात करने में तो जाती है मुलाक़ात की रात - Ameer Minai

baat karne mein to jaati hai mulaqaat ki raat
kya bari baat hai rah jaao yahin raat ki raat

zarre afshaan ke nahin kirmak-e-shab-taab se kam
hai vo zulf-e-araq-aalood ki barsaat ki raat

zaahid us zulf fans jaaye to itna poochoon
kahiye kis tarah kati qibla-e-haajaat ki raat

shaam se subh talak chalte hain jaam-e-may-e-aish
khoob hoti hai basar ahl-e-kharaabaat ki raat

vasl chaaha shab-e-meraaj to ye uzr kiya
hai ye allah o payambar ki mulaqaat ki raat

hum musaafir hain ye duniya hai haqeeqat mein sara
hai tavakkuf humein is ja to faqat raat ki raat

chal ke ab so raho baatein na banaao saahib
vasl ki shab hai nahin harf-e-hikaayaat ki raat

lailatul-qadr hai vaslat ki dua maang ameer
is se behtar hai kahaan koi munaajat ki raat

बात करने में तो जाती है मुलाक़ात की रात
क्या बरी बात है रह जाओ यहीं रात की रात

ज़र्रे अफ़्शाँ के नहीं किर्मक-ए-शब-ताब से कम
है वो ज़ुल्फ़-ए-अरक़-आलूद कि बरसात की रात

ज़ाहिद उस ज़ुल्फ़ फँस जाए तो इतना पूछूँ
कहिए किस तरह कटी क़िबला-ए-हाजात की रात

शाम से सुब्ह तलक चलते हैं जाम-ए-मय-ए-ऐश
ख़ूब होती है बसर अहल-ए-ख़राबात की रात

वस्ल चाहा शब-ए-मेराज तो ये उज़्र किया
है ये अल्लाह ओ पयम्बर की मुलाक़ात की रात

हम मुसाफ़िर हैं ये दुनिया है हक़ीक़त में सरा
है तवक़्क़ुफ़ हमें इस जा तो फ़क़त रात की रात

चल के अब सो रहो बातें न बनाओ साहिब
वस्ल की शब है नहीं हर्फ़-ए-हिकायात की रात

लैलतुल-क़द्र है वसलत की दुआ माँग 'अमीर'
इस से बेहतर है कहाँ कोई मुनाजात की रात

- Ameer Minai
0 Likes

Mazhab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Mazhab Shayari Shayari