meri pehchaan hai kya mera pata de mujh ko
koi aaina agar hai to dikha de mujh ko
tujh se milta hoon to akshar ye khayal aata hai
is bulandi se agar koi gira de mujh ko
kab se patthar ki chattaanon mein hoon gumnaam o aseer
devataaon ki tarah koi jaga de mujh ko
ek aaina sar-e-raah liye baitha hoon
jurm aisa hai ki har shakhs saza de mujh ko
in andheron mein akela hi jalunga kab tak
koi shay tu bhi to khursheed-numa de mujh ko
मेरी पहचान है क्या मेरा पता दे मुझ को
कोई आईना अगर है तो दिखा दे मुझ को
तुझ से मिलता हूँ तो अक्सर ये ख़याल आता है
इस बुलंदी से अगर कोई गिरा दे मुझ को
कब से पत्थर की चट्टानों में हूँ गुमनाम ओ असीर
देवताओं की तरह कोई जगा दे मुझ को
एक आईना सर-ए-राह लिए बैठा हूँ
जुर्म ऐसा है कि हर शख़्स सज़ा दे मुझ को
इन अंधेरों में अकेला ही जलूँगा कब तक
कोई शय तू भी तो ख़ुर्शीद-नुमा दे मुझ को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash
our suggestion based on Ameer Qazalbash
As you were reading Qaid Shayari Shayari