ghutan bhi dekh rahi hai mujhe hairaani se | घुटन भी देख रही है मुझे हैरानी से

  - Amit Sharma Meet

ghutan bhi dekh rahi hai mujhe hairaani se
kahi main oob hi jaaun na us jawaani se

sazaa-e-maut nahin umr-qaid kaatoge
ye hukm aa hi gaya dil ki raajdhaani se

zara sa ishq kiya aur ab ye haalat hai
vo bah raha hai ragon mein ajab rawaani se

udaasiyon mein bhi shikwa bhala karein kis se
bacha hai kaun mohabbat mein raaegaani se

kabhi kabhi to mujhe khud pe hasi aati hai
mujhe ye ishq hua bhi to ik divaani se

main koshishon mein hoon ik jism ko banaane ki
hawa se aag se mitti se aur paani se

udaas ho chuka kirdaar cheekh kar bola
mujhe nikaal do ab is dukhi kahaani se

घुटन भी देख रही है मुझे हैरानी से
कहीं मैं ऊब ही जाऊँ न उस जवानी से

सज़ा-ए-मौत नहीं उम्र-क़ैद काटोगे
ये हुक्म आ ही गया दिल की राजधानी से

ज़रा सा इश्क़ किया और अब ये हालत है
वो बह रहा है रगों में अजब रवानी से

उदासियों में भी शिकवा भला करें किस से
बचा है कौन मोहब्बत में राएगानी से

कभी कभी तो मुझे ख़ुद पे हँसी आती है
मुझे ये इश्क़ हुआ भी तो इक दिवानी से

मैं कोशिशों में हूँ इक जिस्म को बनाने की
हवा से आग से मिट्टी से और पानी से

उदास हो चुका किरदार चीख़ कर बोला
मुझे निकाल दो अब इस दुखी कहानी से

  - Amit Sharma Meet

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amit Sharma Meet

As you were reading Shayari by Amit Sharma Meet

Similar Writers

our suggestion based on Amit Sharma Meet

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari