yun be-dam hain saansen ghutan kuchh nahin hai
kisi dard ki ab chubhan kuchh nahin hai
khilone hain mitti ke ham sab yahan par
haqeeqat yahi hai badan kuchh nahin hai
ye maana ki paikar bahut kuchh hai lekin
bina rooh ye pairhan kuchh nahin hai
lagi aag khwaabon mein itni ki samjho
ye aankhon ki mere jalan kuchh nahin hai
main khud mustaqil hoon safar mein so mujh ko
ye lagne laga hai thakan kuchh nahin hai
bina saath tere sabhi kuchh hai soona
ye duniya jahaan anjuman kuchh nahin hai
numaish hai sab meet mere ghamon ki
ghazal kuchh nahin hai sukhun kuchh nahin hai
यूँ बे-दम हैं साँसें घुटन कुछ नहीं है
किसी दर्द की अब चुभन कुछ नहीं है
खिलौने हैं मिट्टी के हम सब यहाँ पर
हक़ीक़त यही है बदन कुछ नहीं है
ये माना कि पैकर बहुत कुछ है लेकिन
बिना रूह ये पैरहन कुछ नहीं है
लगी आग ख़्वाबों में इतनी कि समझो
ये आँखों की मेरे जलन कुछ नहीं है
मैं ख़ुद मुस्तक़िल हूँ सफ़र में सो मुझ को
ये लगने लगा है थकन कुछ नहीं है
बिना साथ तेरे सभी कुछ है सूना
ये दुनिया जहाँ अंजुमन कुछ नहीं है
नुमाइश है सब 'मीत' मेरे ग़मों की
ग़ज़ल कुछ नहीं है सुख़न कुछ नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amit Sharma Meet
our suggestion based on Amit Sharma Meet
As you were reading Mehfil Shayari Shayari