koii shikwa nahin hai shikaayat nahin | कोई शिकवा नहीं है शिकायत नहीं - Amit Gautam

koii shikwa nahin hai shikaayat nahin
baat yaani ki hai ab muhabbat nahin

ab to paani bhi sar se guzarne laga
aap karte ho phir kyun bagaavat nahin

husn pe ye akad kyun meri jaan-e-jaan
aap itni bhi to khoobsurat nahin

karn sa daan karte hain to aap phir
zindagi mein bhala kyun ho barkat nahin

kitni shiddat se karta hoon main karm par
mere oopar hai hoti inaayat nahin

khud ka bhai hi dushman se jab ja mile
ghar rahe phir to apna salaamat nahin

pehle mil baith sab gham sunaate the par
ab rahi yaar waisi to fursat nahin

कोई शिकवा नहीं है शिकायत नहीं
बात यानी कि है अब मुहब्बत नहीं

अब तो पानी भी सर से गुज़रने लगा
आप करते हो फिर क्यों बग़ावत नहीं

हुस्न पे ये अकड़ क्यों मेरी जान-ए-जाँ
आप इतनी भी तो ख़ूबसूरत नहीं

कर्ण सा दान करते हैं तो आप फिर
ज़िंदगी में भला क्यूँ हो बरकत नहीं

कितनी शिद्दत से करता हूँ मैं कर्म पर
मेरे ऊपर है होती इनायत नहीं

ख़ुद का भाई ही दुश्मन से जब जा मिले
घर रहे फिर तो अपना सलामत नहीं

पहले मिल बैठ सब ग़म सुनाते थे पर
अब रही यार वैसी तो फ़ुर्सत नहीं

- Amit Gautam
1 Like

More by Amit Gautam

As you were reading Shayari by Amit Gautam

Similar Writers

our suggestion based on Amit Gautam

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari