pehle hamaari aankh mein beenaai aayi thi | पहले हमारी आँख में बीनाई आई थी

  - Ammar Iqbal

pehle hamaari aankh mein beenaai aayi thi
phir is ke ba'ad quwwat-e-goyai aayi thi

main apni khastagi se hua aur paayedaar
meri thakan se mujh mein tawaanai aayi thi

dil aaj shaam se hi use dhoondhne laga
kal jis ke ba'ad kamre mein tanhaai aayi thi

vo kis ki nagmgi thi jo daaron saroon mein thi
rangon mein kis ke rang se ra'naai aayi thi

phir yun hua ki us ko tamannaai kar liya
meri taraf jo chashm-e-tamaashaai aayi thi

पहले हमारी आँख में बीनाई आई थी
फिर इस के बा'द क़ुव्वत-ए-गोयाई आई थी

मैं अपनी ख़स्तगी से हुआ और पाएदार
मेरी थकन से मुझ में तवानाई आई थी

दिल आज शाम से ही उसे ढूँडने लगा
कल जिस के बा'द कमरे में तन्हाई आई थी

वो किस की नग़्मगी थी जो दारों सरों में थी
रंगों में किस के रंग से रा'नाई आई थी

फिर यूँ हुआ कि उस को तमन्नाई कर लिया
मेरी तरफ़ जो चश्म-ए-तमाशाई आई थी

  - Ammar Iqbal

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ammar Iqbal

As you were reading Shayari by Ammar Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Ammar Iqbal

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari