yoonhi be-baal-o-par khade hue hain | यूँही बे-बाल-ओ-पर खड़े हुए हैं - Ammar Iqbal

yoonhi be-baal-o-par khade hue hain
ham qafas tod kar khade hue hain

dasht guzra hai mere kamre se
aur deewar-o-dar khade hue hain

khud hi jaane lage the aur khud hi
raasta rok kar khade hue hain

aur kitni ghumaoge duniya
ham to sar thaam kar khade hue hain

barguzeeda buzurg neem ke ped
thak gaye hain magar khade hue hain

muddaton se hazaar-ha aalam
ek ummeed par khade hue hain

यूँही बे-बाल-ओ-पर खड़े हुए हैं
हम क़फ़स तोड़ कर खड़े हुए हैं

दश्त गुज़रा है मेरे कमरे से
और दीवार-ओ-दर खड़े हुए हैं

ख़ुद ही जाने लगे थे और ख़ुद ही
रास्ता रोक कर खड़े हुए हैं

और कितनी घुमाओगे दुनिया
हम तो सर थाम कर खड़े हुए हैं

बरगुज़ीदा बुज़ुर्ग नीम के पेड़
थक गए हैं मगर खड़े हुए हैं

मुद्दतों से हज़ार-हा आलम
एक उम्मीद पर खड़े हुए हैं

- Ammar Iqbal
1 Like

Shajar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ammar Iqbal

As you were reading Shayari by Ammar Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Ammar Iqbal

Similar Moods

As you were reading Shajar Shayari Shayari