raat se jang koi khel nai | रात से जंग कोई खेल नईं

  - Ammar Iqbal

raat se jang koi khel nai
tum charaagon mein itna tel nai

aa gaya hoon to kheench apni taraf
meri jaanib mujhe dhakel nai

jab main chaahunga chhod jaaunga
ik saraaye hai jism jail nai

bench dekhi hai khwaab mein khaali
aur patri par us pe rail nai

jis ko dekha tha kal darakht ke gird
vo haraa azdaha tha bel nai

रात से जंग कोई खेल नईं
तुम चराग़ों में इतना तेल नईं

आ गया हूँ तो खींच अपनी तरफ़
मेरी जानिब मुझे धकेल नईं

जब मैं चाहूँगा छोड़ जाऊँगा
इक सराए है जिस्म जेल नईं

बेंच देखी है ख़्वाब में ख़ाली
और पटरी पर उस पे रेल नईं

जिस को देखा था कल दरख़्त के गिर्द
वो हरा अज़दहा था बेल नईं

  - Ammar Iqbal

Khat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ammar Iqbal

As you were reading Shayari by Ammar Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Ammar Iqbal

Similar Moods

As you were reading Khat Shayari Shayari