zara si der jale jal ke raakh ho jaaye
vo raushni de bhale jal ke raakh ho jaaye
vo aftaab jise sab salaam karte hain
jo waqt par na dhale jal ke raakh ho jaaye
main door ja ke kahi baansuri bajaaunga
bala se rom jale jal ke raakh ho jaaye
vo ek lams-e-gurezaan hai aatish-e-be-soz
mujhe lagaaye gale jal ke raakh ho jaaye
koi charaagh bache subh tak to taarikee
usi charaagh-tale jal ke raakh ho jaaye
ज़रा सी देर जले जल के राख हो जाए
वो रौशनी दे भले जल के राख हो जाए
वो आफ़्ताब जिसे सब सलाम करते हैं
जो वक़्त पर न ढले जल के राख हो जाए
मैं दूर जा के कहीं बाँसुरी बजाऊँगा
बला से रोम जले जल के राख हो जाए
वो एक लम्स-ए-गुरेज़ाँ है आतिश-ए-बे-सोज़
मुझे लगाए गले जल के राख हो जाए
कोई चराग़ बचे सुब्ह तक तो तारीकी
उसी चराग़-तले जल के राख हो जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ammar Iqbal
our suggestion based on Ammar Iqbal
As you were reading Raushni Shayari Shayari