udaas dil hai ki un ki nazar nahin hoti | उदास दिल है कि उन की नज़र नहीं होती

  - Amrit Lal Ishrat

udaas dil hai ki un ki nazar nahin hoti
baghair shams ke taab-e-qamar nahin hoti

kuchh aise log bhi duniya mein ham ne dekhe hain
samaa bhi jaate hain dil mein khabar nahin hoti

utho to dast-b-saaghar chalo to sheesha-b-dosh
ye may-kada hai yahan yun guzar nahin hoti

kabhi kabhi mujhe un ka khayal aata hai
kabhi kabhi mujhe apni khabar nahin hoti

shab-e-hayaat hai saaghar mein doob ja ishrat
ye aisi raat hai jis ki sehar nahin hoti

उदास दिल है कि उन की नज़र नहीं होती
बग़ैर शम्स के ताब-ए-क़मर नहीं होती

कुछ ऐसे लोग भी दुनिया में हम ने देखे हैं
समा भी जाते हैं दिल में ख़बर नहीं होती

उठो तो दस्त-ब-साग़र चलो तो शीशा-ब-दोश
ये मय-कदा है यहाँ यूँ गुज़र नहीं होती

कभी कभी मुझे उन का ख़याल आता है
कभी कभी मुझे अपनी ख़बर नहीं होती

शब-ए-हयात है साग़र में डूब जा 'इशरत'
ये ऐसी रात है जिस की सहर नहीं होती

  - Amrit Lal Ishrat

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amrit Lal Ishrat

As you were reading Shayari by Amrit Lal Ishrat

Similar Writers

our suggestion based on Amrit Lal Ishrat

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari