qadam qadam pe hamein rang-o-boo ka dhoka hai
khizaan-naseeb rafeeqo ye daur kaisa hai
jo tu kahe use choo kar zara yaqeen kar luun
tiri jabeen pe mujhe chaandni ka dhoka hai
meri nigaah ne bakshi hai husn ko raunaq
naseem-e-subh se phoolon ka rang bikhra hai
binaa-e-she'er hai mera mushaahida ishrat
mere kalaam mein har dil ka dard hota hai
क़दम क़दम पे हमें रंग-ओ-बू का धोका है
ख़िज़ाँ-नसीब रफ़ीक़ो ये दौर कैसा है
जो तू कहे उसे छू कर ज़रा यक़ीं कर लूँ
तिरी जबीं पे मुझे चाँदनी का धोका है
मिरी निगाह ने बख़्शी है हुस्न को रौनक़
नसीम-ए-सुब्ह से फूलों का रंग बिखरा है
बिना-ए-शे'र है मेरा मुशाहिदा 'इशरत'
मिरे कलाम में हर दिल का दर्द होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amrit Lal Ishrat
our suggestion based on Amrit Lal Ishrat
As you were reading Festive Shayari Shayari