hamaari maut ka waahid hai ye gawaah badan | हमारी मौत का वाहिद है ये गवाह बदन

  - Anamta Ali

hamaari maut ka waahid hai ye gawaah badan
nahin hai rooh pe koi bhi zakhm-gaah badan

hamaari aankh se zaahir ho raushni kaise
hamaare saamne rakha gaya siyaah badan

jo goonge logon ki basti mein koi naam liya
sunaai dene lage mujh ko be-panaah badan

hamaari rooh pe nashtar chubhe udaasi ke
hazaar aahon pe maatam-kada hai aah badan

use mare hue ghante guzar gaye kitne
ab aage kya hai nahin hai agar tabaah badan

main us pe naqsh banaaoongi apni vehshat ke
nayi nikaaloongi tujh se main koi raah badan

main andhe logon mein shaamil hoon un ke jaisi hoon
so ek shart hi rakhi gai nibaah badan

हमारी मौत का वाहिद है ये गवाह बदन
नहीं है रूह पे कोई भी ज़ख़्म-गाह बदन

हमारी आँख से ज़ाहिर हो रौशनी कैसे
हमारे सामने रक्खा गया सियाह बदन

जो गूँगे लोगों की बस्ती में कोई नाम लिया
सुनाई देने लगे मुझ को बे-पनाह बदन

हमारी रूह पे नश्तर चुभे उदासी के
हज़ार आहों पे मातम-कदा है आह बदन

उसे मरे हुए घंटे गुज़र गए कितने
अब आगे क्या है नहीं है अगर तबाह बदन

मैं उस पे नक़्श बनाऊँगी अपनी वहशत के
नई निकालूँगी तुझ से मैं कोई राह बदन

मैं अंधे लोगों में शामिल हूँ उन के जैसी हूँ
सो एक शर्त ही रक्खी गई निबाह बदन

  - Anamta Ali

Bekhayali Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anamta Ali

As you were reading Shayari by Anamta Ali

Similar Writers

our suggestion based on Anamta Ali

Similar Moods

As you were reading Bekhayali Shayari Shayari