raushni ki ashd zaroorat hai
aap ke paas thodi furqat hai
aap se jhooth kah raha tha koi
zindagi dher khoobsurat hai
ek dooje ko kho diya ham ne
aur ye ujlat nahin himaqat hai
us ke mere visaal mein haa'il
aur kuchh bhi nahin hai gurbat hai
aap jaise sukhan-nigaaron ko
aaina dekhne ki haajat hai
aur kuchh ho na ho tumhaare paas
ek doshizaa ki mohabbat hai
aap ko kya garz hai anam se
vo mohabbat hai ya museebat hai
रौशनी की अशद ज़रूरत है
आप के पास थोड़ी फ़ुर्सत है
आप से झूट कह रहा था कोई
ज़िंदगी ढेर ख़ूबसूरत है
एक दूजे को खो दिया हम ने
और ये उजलत नहीं हिमाक़त है
उस के मेरे विसाल में हाइल
और कुछ भी नहीं है ग़ुर्बत है
आप जैसे सुख़न-निगारों को
आइना देखने की हाजत है
और कुछ हो न हो तुम्हारे पास
एक दोशीज़ा की मोहब्बत है
आप को क्या ग़रज़ है 'अनअम' से
वो मोहब्बत है या मुसीबत है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anamta Ali
our suggestion based on Anamta Ali
As you were reading Poverty Shayari Shayari