rone ka saleeqa mujhe aslaaf ne baksha | रोने का सलीक़ा मुझे अस्लाफ़ ने बख़्शा

  - Anamta Ali

rone ka saleeqa mujhe aslaaf ne baksha
ye maatami aankhen mujhe virse mein mili hain

ye karb ki duniya ka hai naqsha ise dekho
sab purkhen hamaari isee shajre mein mili hain

main ghur ke dekhoon to bura maanta hai vo
kaise kahoon ye talkhiyaan tarke mein mili hain

khwaabon ne bhi marne ki hi thaani hai bil-aakhir
do chaar ki laashein mere kamre mein mili hain

toote hue raston pe tira haath pakad luun
ye khwaahishein bas ishq ke badle mein mili hain

jo ladkiyaan jeeti theen mohabbat ke sahaare
do gaz ki hi qabren unhen tohfe mein mili hain

रोने का सलीक़ा मुझे अस्लाफ़ ने बख़्शा
ये मातमी आँखें मुझे विर्से में मिली हैं

ये कर्ब की दुनिया का है नक़्शा इसे देखो
सब पुरखें हमारी इसी शजरे में मिली हैं

मैं घूर के देखूँ तो बुरा मानता है वो
कैसे कहूँ ये तल्ख़ियाँ तर्के में मिली हैं

ख़्वाबों ने भी मरने की ही ठानी है बिल-आख़िर
दो चार की लाशें मिरे कमरे में मिली हैं

टूटे हुए रस्तों पे तिरा हाथ पकड़ लूँ
ये ख़्वाहिशें बस इश्क़ के बदले में मिली हैं

जो लड़कियाँ जीती थीं मोहब्बत के सहारे
दो गज़ की ही क़ब्रें उन्हें तोहफ़े में मिली हैं

  - Anamta Ali

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anamta Ali

As you were reading Shayari by Anamta Ali

Similar Writers

our suggestion based on Anamta Ali

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari