ghup khaamoshi jaise qabrastaan mein hoon | घुप ख़ामोशी जैसे क़ब्रिस्तान में हूँ

  - Anamta Ali

ghup khaamoshi jaise qabrastaan mein hoon
kya main zinda laashon ke sthaan mein hoon

raat dhale veeraani milne aati hai
jaanti hai main us ke aqd amaan mein hoon

sard hawaaein yaad us ki bifara mausam
wahshat-e-zist bata main kis ke dhyaan mein hoon

phir sarsabz hue jaate hain saare ped
lagta hai ik main hi namak ki kaan mein hoon

jaante ho is waqt meri haalat hai kiya
kaala phool udaasi ke gul-daan mein hoon

waapas jaane waale ghar ko jaate hain
main azaad parinda kis zindaan mein hoon

loo se ziyaada tez nigaahon ki aandhi
main jeevan ke aise registaan mein hoon

घुप ख़ामोशी जैसे क़ब्रिस्तान में हूँ
क्या मैं ज़िंदा लाशों के स्थान में हूँ

रात ढले वीरानी मिलने आती है
जानती है मैं उस के अक़्द अमान में हूँ

सर्द हवाएँ याद उस की बिफरा मौसम
वहशत-ए-ज़ीस्त बता मैं किस के ध्यान में हूँ

फिर सरसब्ज़ हुए जाते हैं सारे पेड़
लगता है इक मैं ही नमक की कान में हूँ

जानते हो इस वक़्त मिरी हालत है किया
काला फूल उदासी के गुल-दान में हूँ

वापस जाने वाले घर को जाते हैं
मैं आज़ाद परिंदा किस ज़िंदान में हूँ

लू से ज़ियादा तेज़ निगाहों की आँधी
मैं जीवन के ऐसे रेगिस्तान में हूँ

  - Anamta Ali

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anamta Ali

As you were reading Shayari by Anamta Ali

Similar Writers

our suggestion based on Anamta Ali

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari