bebaasi khaak udaane se bhi kat sakti thi | बेबसी ख़ाक उड़ाने से भी कट सकती थी

  - Anamta Ali

bebaasi khaak udaane se bhi kat sakti thi
neend thi neend to lamhon mein palat sakti thi

main akeli hi sahe jaati thi iflaas ka dukh
vaise takleef to ham dono mein bat sakti thi

tu jo kamre se nikal aaya to ye phail gai
raushni tere ishaare pe simat sakti thi

aap gusse mein the main rok na paai warna
aap ki shirt mere haath se phat sakti thi

haaye gambheer andhere mein hua gum baccha
maa to khurshed ka takhta bhi ult sakti thi

बेबसी ख़ाक उड़ाने से भी कट सकती थी
नींद थी नींद तो लम्हों में पलट सकती थी

मैं अकेली ही सहे जाती थी इफ़्लास का दुख
वैसे तकलीफ़ तो हम दोनों में बट सकती थी

तू जो कमरे से निकल आया तो ये फैल गई
रौशनी तेरे इशारे पे सिमट सकती थी

आप ग़ुस्से में थे मैं रोक न पाई वर्ना
आप की शर्ट मिरे हाथ से फट सकती थी

हाए गम्भीर अँधेरे में हुआ गुम बच्चा
माँ तो ख़ुर्शेद का तख़्ता भी उलट सकती थी

  - Anamta Ali

Ishaara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anamta Ali

As you were reading Shayari by Anamta Ali

Similar Writers

our suggestion based on Anamta Ali

Similar Moods

As you were reading Ishaara Shayari Shayari