jab tire hijr ke aasaar nazar aate hain
mujh ko phoolon mein bhi phir khaar nazar aate hain
moond leen is liye barbaadi pe aankhen main ne
mere apne hi zimmedaar nazar aate hain
ya wahi bugz wahi keena wahi nafrat hai
ya mohabbat ke bhi aasaar nazar aate hain
main hawaon ke ta'aqub mein bhatk jaati hoon
phir ishaare mujhe be-kaar nazar aate hain
main bulandi se giraai gai jis mehnat se
is mein apnon ke bhi kirdaar nazar aate hain
shash-jihat dukh ke hain ambaar hi poshida yahan
jis qadar hain pas-e-deewaar nazar aate hain
aankh lagti hai to main khauf se uth jaati hoon
khwaab mein qafile khun-khaar nazar aate hain
जब तिरे हिज्र के आसार नज़र आते हैं
मुझ को फूलों में भी फिर ख़ार नज़र आते हैं
मूँद लीं इस लिए बर्बादी पे आँखें मैं ने
मेरे अपने ही ज़िम्मेदार नज़र आते हैं
या वही बुग़्ज़ वही कीना वही नफ़रत है
या मोहब्बत के भी आसार नज़र आते हैं
मैं हवाओं के तआ'क़ुब में भटक जाती हूँ
फिर इशारे मुझे बे-कार नज़र आते हैं
मैं बुलंदी से गिराई गई जिस मेहनत से
इस में अपनों के भी किरदार नज़र आते हैं
शश-जिहत दुख के हैं अम्बार ही पोशीदा यहाँ
जिस क़दर हैं पस-ए-दीवार नज़र आते हैं
आँख लगती है तो मैं ख़ौफ़ से उठ जाती हूँ
ख़्वाब में क़ाफ़िले ख़ूँ-ख़ार नज़र आते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anamta Ali
our suggestion based on Anamta Ali
As you were reading Dushman Shayari Shayari