goya ki chhini pairo'n ke neeche ki zameen hai | गोया कि छिनी पैरों के नीचे की ज़मीं है

  - Anamta Ali

goya ki chhini pairo'n ke neeche ki zameen hai
kya paas tire jhooti tasalli bhi nahin hai

ham ne to use kar hi diya dil se bahut door
par us ka khayal us ki mohabbat to yahin hai

ma'aloom hai yaarab hai tu shah-e-rag se qarin-tar
vo shakhs magar jo meri dhadkan ke qareen hai

hain aap hi kyun haalat-e-afsos ki ja par
kya hogi anam aap ki jab apni nahin hai

गोया कि छिनी पैरों के नीचे की ज़मीं है
क्या पास तिरे झूटी तसल्ली भी नहीं है

हम ने तो उसे कर ही दिया दिल से बहुत दूर
पर उस का ख़याल उस की मोहब्बत तो यहीं है

मा'लूम है यारब है तू शह-ए-रग से क़रीं-तर
वो शख़्स मगर जो मिरी धड़कन के क़रीं है

हैं आप ही क्यूँ हालत-ए-अफ़्सोस की जा पर
क्या होगी 'अनअम' आप की जब अपनी नहीं है

  - Anamta Ali

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anamta Ali

As you were reading Shayari by Anamta Ali

Similar Writers

our suggestion based on Anamta Ali

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari