sar-e-mahshar yahi poochhoonga khuda se pehle | सर-ए-महशर यही पूछूँगा ख़ुदा से पहले - Anand Narayan Mulla

sar-e-mahshar yahi poochhoonga khuda se pehle
tu ne roka bhi tha bande ko khata se pehle

ashk aankhon mein hain honton pe bukaa se pehle
qaafila gham ka chala baang-e-dara se pehle

haan yahi dil jo kisi ka hai ab aaina-e-husn
warq-e-saada tha ulfat ki jila se pehle

ibtida hi se na de zeest mujhe dars is ka
aur bhi baab to hain baab-e-raza se pehle

main gira khaak pe lekin kabhi tum ne socha
mujh pe kya beet gai laghizish-e-paa se pehle

ashk aate to the lekin ye chamak aur tadap
in mein kab thi gham-e-ulfat ki jila se pehle

dar-e-may-khaana se aati hai sada-e-saaqi
aaj sairaab kiye jaayenge pyaase pehle

raaz-e-may-noshi-e-'mulla hua ifshaa warna
samjha jaata tha wali laghizish-e-paa se pehle

सर-ए-महशर यही पूछूँगा ख़ुदा से पहले
तू ने रोका भी था बंदे को ख़ता से पहले

अश्क आँखों में हैं होंटों पे बुका से पहले
क़ाफ़िला ग़म का चला बाँग-ए-दरा से पहले

हाँ यही दिल जो किसी का है अब आईना-ए-हुस्न
वरक़-ए-सादा था उल्फ़त की जिला से पहले

इब्तिदा ही से न दे ज़ीस्त मुझे दर्स इस का
और भी बाब तो हैं बाब-ए-रज़ा से पहले

मैं गिरा ख़ाक पे लेकिन कभी तुम ने सोचा
मुझ पे क्या बीत गई लग़्ज़िश-ए-पा से पहले

अश्क आते तो थे लेकिन ये चमक और तड़प
इन में कब थी ग़म-ए-उल्फ़त की जिला से पहले

दर-ए-मय-ख़ाना से आती है सदा-ए-साक़ी
आज सैराब किए जाएँगे प्यासे पहले

राज़-ए-मय-नोशी-ए-'मुल्ला' हुआ इफ़शा वर्ना
समझा जाता था वली लग़्ज़िश-ए-पा से पहले

- Anand Narayan Mulla
0 Likes

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari