isee zameen pe isee aasmaan mein rahna hai | इसी ज़मीं पे इसी आसमाँ में रहना है

  - Anees Ashfaq

isee zameen pe isee aasmaan mein rahna hai
tira aseer hoon tere jahaan mein rahna hai

main ek pal tiri duniya mein kya qayaam karoon
ki umr bhar to mujhe raftagaan mein rahna hai

mein jaanta hoon bahut sakht dhoop hai lekin
safar mein hoon to saf-e-rah-ravaan mein rahna hai

utar gai hai to seene se mat nikaal use
ki mere khoon ko teri sinaan mein rahna hai

na mere haath se chhutna hai mere neze ko
na tere teer ko teri kamaan mein rahna hai

khule rahein jo khule hain qafas ke darwaaze
vo kab chhutenge jinhen qaid-e-jaan mein rahna hai

to phir ye zindagi-e-javedan ka milna kya
jo har nafs nafs-e-raayegaan mein rahna hai

इसी ज़मीं पे इसी आसमाँ में रहना है
तिरा असीर हूँ तेरे जहाँ में रहना है

मैं एक पल तिरी दुनिया में क्या क़याम करूँ
कि उम्र भर तो मुझे रफ़्तगाँ में रहना है

में जानता हूँ बहुत सख़्त धूप है लेकिन
सफ़र में हूँ तो सफ़-ए-रह-रवाँ में रहना है

उतर गई है तो सीने से मत निकाल उसे
कि मेरे ख़ून को तेरी सिनाँ में रहना है

न मेरे हाथ से छुटना है मेरे नेज़े को
न तेरे तीर को तेरी कमाँ में रहना है

खुले रहें जो खुले हैं क़फ़स के दरवाज़े
वो कब छुटेंगे जिन्हें क़ैद-ए-जाँ में रहना है

तो फिर ये ज़िंदगी-ए-जावेदाँ का मिलना क्या
जो हर नफ़्स नफ़्स-ए-राएगाँ में रहना है

  - Anees Ashfaq

Budhapa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anees Ashfaq

As you were reading Shayari by Anees Ashfaq

Similar Writers

our suggestion based on Anees Ashfaq

Similar Moods

As you were reading Budhapa Shayari Shayari