kab ishq mein yaaron ki paziraai hui hai | कब इश्क़ में यारों की पज़ीराई हुई है

  - Anees Ashfaq

kab ishq mein yaaron ki paziraai hui hai
har kohkan o qais ki ruswaai hui hai

is koh ko main ne hi tarasha hai meri jaan
tujh tak ye joo-e-sheer meri laai hui hai

is shehar mein kya chaand chamakta hua dekhen
is shehar mein har shakl to gehnaai hui hai

vo ishq ki zanjeer jo kaate nahin kattee
pairo'n mein vo teri hi to pahnaai hui hai

ye takht-e-saba khilat-e-gul kursi-e-mehtaab
sab tere liye anjuman-aaraai hui hai

jo tere khazaane ke liye lauh-e-sharaf hai
vo mohr-e-jawahar meri thukraai hui hai

shohra hai bahut jis ki tilaavat ka chaman mein
vo aayat-e-gul meri hi padhvaai hui hai

thi jo na kisi shaana-e-yusuf ki talabgaar
vo zulf-e-zulekha meri saudaai hui hai

dekha hai kisi aahu-e-khush-chashm ko us ne
aankhon mein bahut us ki chamak aayi hui hai

कब इश्क़ में यारों की पज़ीराई हुई है
हर कोहकन ओ क़ैस की रुस्वाई हुई है

इस कोह को मैं ने ही तराशा है मिरी जान
तुझ तक ये जू-ए-शीर मिरी लाई हुई है

इस शहर में क्या चाँद चमकता हुआ देखें
इस शहर में हर शक्ल तो गहनाई हुई है

वो इश्क़ की ज़ंजीर जो काटे नहीं कटती
पैरों में वो तेरी ही तो पहनाई हुई है

ये तख़्त-ए-सबा ख़िलअत-ए-गुल कर्सी-ए-महताब
सब तेरे लिए अंजुमन-आराई हुई है

जो तेरे ख़ज़ाने के लिए लौह-ए-शरफ़ है
वो मोहर-ए-जवाहर मिरी ठुकराई हुई है

शोहरा है बहुत जिस की तिलावत का चमन में
वो आयत-ए-गुल मेरी ही पढ़वाई हुई है

थी जो न किसी शाना-ए-यूसुफ़ की तलबगार
वो ज़ुल्फ़-ए-ज़ुलेख़ा मिरी सौदाई हुई है

देखा है किसी आहू-ए-ख़ुश-चश्म को उस ने
आँखों में बहुत उस की चमक आई हुई है

  - Anees Ashfaq

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anees Ashfaq

As you were reading Shayari by Anees Ashfaq

Similar Writers

our suggestion based on Anees Ashfaq

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari