roo-e-gul chehra-e-mahtaab nahin dekhte hain
ham tiri tarah koi khwaab nahin dekhte hain
seena-e-mauj pe kashti ko ravaan rakhte hain
gird apne koi girdaab nahin dekhte hain
tishnagi mein bhi vo paaband-e-qanaat hain ki ham
bhool kar bhi taraf-e-aab nahin dekhte hain
sar bhi maujood hain shamsher-e-sitam bhi maujood
shehar mein khoon ka sailaab nahin dekhte hain
aa gaye hain ye mere shehar mein kis shehar ke log
guftugoo mein adab-aadaab nahin dekhte hain
aana jaana unhin galiyon mein abhi tak hai magar
ab wahan majma-e-ahbaab nahin dekhte hain
kis chaman mein hain ki mausam to gulon ka hai magar
ek bhi shaakh ko shaadaab nahin dekhte hain
is pe hairaan hain khareedaar ki qeemat hai bahut
mere gauhar ki tab-o-taab nahin dekhte hain
ho gaye saare bala-khez samundar paayaab
ab safeena koi gharqaab nahin dekhte hain
रू-ए-गुल चेहरा-ए-महताब नहीं देखते हैं
हम तिरी तरह कोई ख़्वाब नहीं देखते हैं
सीना-ए-मौज पे कश्ती को रवाँ रखते हैं
गिर्द अपने कोई गिर्दाब नहीं देखते हैं
तिश्नगी में भी वो पाबंद-ए-क़नाअत हैं कि हम
भूल कर भी तरफ़-ए-आब नहीं देखते हैं
सर भी मौजूद हैं शमशीर-ए-सितम भी मौजूद
शहर में ख़ून का सैलाब नहीं देखते हैं
आ गए हैं ये मिरे शहर में किस शहर के लोग
गुफ़्तुगू में अदब-आदाब नहीं देखते हैं
आना जाना उन्हीं गलियों में अभी तक है मगर
अब वहाँ मजमा-ए-अहबाब नहीं देखते हैं
किस चमन में हैं कि मौसम तो गुलों का है मगर
एक भी शाख़ को शादाब नहीं देखते हैं
इस पे हैराँ हैं ख़रीदार कि क़ीमत है बहुत
मेरे गौहर की तब-ओ-ताब नहीं देखते हैं
हो गए सारे बला-ख़ेज़ समुंदर पायाब
अब सफ़ीना कोई ग़र्क़ाब नहीं देखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anees Ashfaq
our suggestion based on Anees Ashfaq
As you were reading Bekhabri Shayari Shayari