hamesha kisi imtihaan mein raha
raha bhi to kya is jahaan mein raha
na main door tak saath us ke gaya
na vo der tak hamrahaan mein raha
vo dariya pe mujh ko bulaata raha
magar main saf-e-tishnagaan mein raha
main bujhne laga to bahut der tak
ujaala charaagh-e-ziyaan mein raha
qafas yaad aaya parinde ko phir
bahut roz tak aashiyaan mein raha
rahi der tak maut se guftugoo
main jab halka-e-raftagaan mein raha
na gul koi dil ke shajar par khila
na koi samar shaakh-e-jaan mein raha
ye khaana hamesha se veeraan hai
kahaan koi dil ke makaan mein raha
हमेशा किसी इम्तिहाँ में रहा
रहा भी तो क्या इस जहाँ में रहा
न मैं दूर तक साथ उस के गया
न वो देर तक हमरहाँ में रहा
वो दरिया पे मुझ को बुलाता रहा
मगर मैं सफ़-ए-तिश्नगाँ में रहा
मैं बुझने लगा तो बहुत देर तक
उजाला चराग़-ए-ज़ियाँ में रहा
क़फ़स याद आया परिंदे को फिर
बहुत रोज़ तक आशियाँ में रहा
रही देर तक मौत से गुफ़्तुगू
मैं जब हल्क़ा-ए-रफ़्तगाँ में रहा
न गुल कोई दिल के शजर पर खिला
न कोई समर शाख़-ए-जाँ में रहा
ये ख़ाना हमेशा से वीरान है
कहाँ कोई दिल के मकाँ में रहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anees Ashfaq
our suggestion based on Anees Ashfaq
As you were reading Dariya Shayari Shayari