ham aise ishq ke maaron ko tanhaa maar deti hai
mohabbat jaan ki pyaasi hai banda maar deti hai
alag andaaz hain dono ke apni baat kehne ke
main uspe sher kehta hoon vo taana maar deti hai
ham uske dil mein rahte hain so achhe hain wagarana dost
adaaon se to aashiq ko vo zinda maar deti hai
kisi rassi kisi pankhe pe ye ilzaam aaya par
koi khud se nahin marta ye duniya maar deti hai
ham aise log ghalti se kabhi jo khwaab dekhen to
ghareebi khwaab ke munh pe tamaacha maar deti hai
हम ऐसे इश्क़ के मारों को तन्हा मार देती है
मोहब्बत जान की प्यासी है बंदा मार देती है
अलग अंदाज़ हैं दोनों के अपनी बात कहने के
मैं उसपे शेर कहता हूं, वो ताना मार देती है
हम उसके दिल में रहते हैं सो अच्छे हैं वगरना दोस्त
अदाओं से तो आशिक़ को वो ज़िंदा मार देती है
किसी रस्सी, किसी पंखे पे ये इल्ज़ाम आया पर
कोई ख़ुद से नहीं मरता ये दुनिया मार देती है
हम ऐसे लोग ग़लती से कभी जो ख़्वाब देखें तो
ग़रीबी ख़्वाब के मुंह पे तमाचा मार देती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ankit Maurya
our suggestion based on Ankit Maurya
As you were reading Andaaz Shayari Shayari