shiddat se mujhse haath chhudaane ke baawajood | शिद्दत से मुझसे हाथ छुड़ाने के बावजूद

  - Ankit Maurya

shiddat se mujhse haath chhudaane ke baawajood
thoda sa rah gaya hai vo jaane ke baawajood

apne safar ke waqt main tanhaa hi rah gaya
ik umr doston pe lutaane ke baawajood

koi sawaal zindagi ka hal nahin hua
padhne mein saari umr gavaane ke baawajood

apna ham ek shakhs ikattha na kar saken
apnon ke beech shor machaane ke baawajood

leila nahin mili so main majnu na ban saka
sehra mein khoob khaak udaane ke baawajood

akshar hi chhooti rahi hai zindagi ki rail
apni ghadi se waqt pe aane ke baawajood

hairat hai mere haath salaamat hain ab talak
shola badan ko haath lagaane ke baawajood

शिद्दत से मुझसे हाथ छुड़ाने के बावजूद
थोड़ा सा रह गया है वो जाने के बावजूद

अपने सफ़र के वक़्त मैं तन्हा ही रह गया
इक उम्र दोस्तों पे लुटाने के बावजूद

कोई सवाल ज़िंदगी का हल नहीं हुआ
पढ़ने में सारी उम्र गवांने के बावजूद

अपना हम एक शख़्स इकट्ठा न कर सकें
अपनों के बीच शोर मचाने के बावजूद

लैला नहीं मिली, सो मैं मजनू न बन सका
सहरा में खूब ख़ाक उड़ाने के बावजूद

अक्सर ही छूटती रही है ज़िंदगी की रेल
अपनी घड़ी से वक़्त पे आने के बावजूद

हैरत है मेरे हाथ सलामत हैं अब तलक
शोला बदन को हाथ लगाने के बावजूद

  - Ankit Maurya

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ankit Maurya

As you were reading Shayari by Ankit Maurya

Similar Writers

our suggestion based on Ankit Maurya

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari