har ek shakhs mera shehar mein shanaasa tha | हर एक शख़्स मिरा शहर में शनासा था - Anwar Taban

har ek shakhs mera shehar mein shanaasa tha
magar jo ghaur se dekha to main akela tha

vo khwaab aish-e-tarab ka jo hum ne dekha tha
haqeeqaton se pare tha haseen dhoka tha

khuda humein bhi dikha de vo daur kaisa tha
khuloos-o-mehr ka har shakhs jis mein dariya tha

sitam bhi mujh pe vo karta raha karam ki tarah
vo meherbaan to na tha mehrbaan jaisa tha

guzishta raat bhi hum ne yoonhi guzaari thi
zameen ko farsh kiya aasmaan odha tha

usi ko matlabi taabaan kaha zamaane ne
dua salaam jo chhote bade se rakhta tha

हर एक शख़्स मिरा शहर में शनासा था
मगर जो ग़ौर से देखा तो मैं अकेला था

वो ख़्वाब ऐश-ए-तरब का जो हम ने देखा था
हक़ीक़तों से परे था हसीन धोका था

ख़ुदा हमें भी दिखा दे वो दौर कैसा था
ख़ुलूस-ओ-मेहर का हर शख़्स जिस में दरिया था

सितम भी मुझ पे वो करता रहा करम की तरह
वो मेहरबाँ तो न था मेहरबान जैसा था

गुज़िश्ता रात भी हम ने यूँही गुज़ारी थी
ज़मीन को फ़र्श किया आसमान ओढ़ा था

उसी को मतलबी 'ताबाँ' कहा ज़माने ने
दुआ सलाम जो छोटे बड़े से रखता था

- Anwar Taban
0 Likes

Birthday Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anwar Taban

As you were reading Shayari by Anwar Taban

Similar Writers

our suggestion based on Anwar Taban

Similar Moods

As you were reading Birthday Shayari Shayari