nazar us chashm pe hai jaam liye baitha hoon
hai na peene ka ye matlab ki piye baitha hoon
rakha-andaazi-e-andoh se ghaafil nahin main
hai jigar chaak to kya hont siye baitha hoon
kya karoon dil ko jo lene nahin deta hai qaraar
jo muqaddar ne diya hai vo liye baitha hoon
iltifaat ai nigah-e-hosh-ruba ab kyun hai
paas jo kuchh tha vo pehle se diye baitha hoon
dil-e-pur-kaif salaamat ki akela mein bhi
ek bottle se baghal garm kiye baitha hoon
aarzoo jalte hue dil ke sharaare hain ye ashk
aag paani ke katoron mein liye baitha hoon
नज़र उस चश्म पे है जाम लिए बैठा हूँ
है न पीने का ये मतलब कि पिए बैठा हूँ
रख़ना-अंदाज़ी-ए-अंदोह से ग़ाफ़िल नहीं मैं
है जिगर चाक तो क्या होंट सिए बैठा हूँ
क्या करूँ दिल को जो लेने नहीं देता है क़रार
जो मुक़द्दर ने दिया है वो लिए बैठा हूँ
इल्तिफ़ात ऐ निगह-ए-होश-रुबा अब क्यूँ है
पास जो कुछ था वो पहले से दिए बैठा हूँ
दिल-ए-पुर-कैफ़ सलामत कि अकेले में भी
एक बोतल से बग़ल गर्म किए बैठा हूँ
'आरज़ू' जलते हुए दिल के शरारे हैं ये अश्क
आग पानी के कटोरों में लिए बैठा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Arzoo Lakhnavi
our suggestion based on Arzoo Lakhnavi
As you were reading Tanhai Shayari Shayari