har saans hai ik naghma har naghma hai mastaana | हर साँस है इक नग़्मा हर नग़्मा है मस्ताना

  - Arzoo Lakhnavi

har saans hai ik naghma har naghma hai mastaana
kis darja dukhe dil ka rangeen hai afsaana

jo kuchh tha na kehne ka sab kah gaya deewaana
samjho to mukammal hai ab ishq ka afsaana

do zindagiyon ka hai chhota sa ye afsaana
lehraaya jahaan shola andha hua parwaana

in ras bhari aankhon se masti jo tapakti hai
hoti hai nazar saaqi dil banta hai paimaana

veeraane mein deewaana ghar chhod ke aaya tha
jab hoga na deewaana ghar dhoondhega veeraana

afsaana gham-e-dil ka sunne ke nahin qaabil
kah dete hain sab hans kar deewaana hai deewaana

jab ishq ke maaron ka pursaan hi nahin koi
phir dono barabar hain basti ho ki veeraana

ye aag mohabbat ki paani se nahin bujhti
phir sham'a se ja lipta jalta hua parwaana

हर साँस है इक नग़्मा हर नग़्मा है मस्ताना
किस दर्जा दुखे दिल का रंगीन है अफ़्साना

जो कुछ था न कहने का सब कह गया दीवाना
समझो तो मुकम्मल है अब इश्क़ का अफ़्साना

दो ज़िंदगियों का है छोटा सा ये अफ़्साना
लहराया जहाँ शोला अंधा हुआ परवाना

इन रस भरी आँखों से मस्ती जो टपकती है
होती है नज़र साक़ी दिल बनता है पैमाना

वीराने में दीवाना घर छोड़ के आया था
जब होगा न दीवाना घर ढूँढेगा वीराना

अफ़्साना ग़म-ए-दिल का सुनने के नहीं क़ाबिल
कह देते हैं सब हँस कर दीवाना है दीवाना

जब इश्क़ के मारों का पुरसाँ ही नहीं कोई
फिर दोनों बराबर हैं बस्ती हो कि वीराना

ये आग मोहब्बत की पानी से नहीं बुझती
फिर शम्अ' से जा लिपटा जलता हुआ परवाना

  - Arzoo Lakhnavi

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Arzoo Lakhnavi

As you were reading Shayari by Arzoo Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Arzoo Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari