koi bhi shakl mere dil mein utar sakti hai
ik rifaqat mein kahaan umr guzar sakti hai
tujh se kuchh aur t'alluq bhi zaroori hai mera
ye mohabbat to kisi waqt bhi mar sakti hai
meri khwaahish hai ki phoolon se tujhe fath karoon
warna ye kaam to talwaar bhi kar sakti hai
ho agar mauj mein ham jaisa koi andha faqeer
ek sikke se bhi taqdeer sanwar sakti hai
subh-dam surkh ujaala hai khule paani mein
chaand ki laash kahi se bhi ubhar sakti hai
कोई भी शक्ल मिरे दिल में उतर सकती है
इक रिफ़ाक़त में कहाँ उम्र गुज़र सकती है
तुझ से कुछ और त'अल्लुक़ भी ज़रूरी है मिरा
ये मोहब्बत तो किसी वक़्त भी मर सकती है
मेरी ख़्वाहिश है कि फूलों से तुझे फ़त्ह करूँ
वर्ना ये काम तो तलवार भी कर सकती है
हो अगर मौज में हम जैसा कोई अंधा फ़क़ीर
एक सिक्के से भी तक़दीर सँवर सकती है
सुब्ह-दम सुर्ख़ उजाला है खुले पानी में
चाँद की लाश कहीं से भी उभर सकती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Azhar Faragh
our suggestion based on Azhar Faragh
As you were reading Eid Shayari Shayari