vo mahtaab abhi baam par nahin aaya | वो माहताब अभी बाम पर नहीं आया

  - Azhar Iqbal

vo mahtaab abhi baam par nahin aaya
meri duaon mein shaayad asar nahin aaya

bahut ajeeb hai yaaron bulandiyon ka tilism
jo ek baar gaya laut kar nahin aaya

ye kaayenaat ki wus'at khuli nahin mujh par
main apni zaat se jab tak guzar nahin aaya

bahut dinon se hai be-shakl si meri mitti
bahut dinon se koi kooza-gar nahin aaya

bas ek lamhe ko be-pairahan use dekha
phir is ke baad mujhe kuchh nazar nahin aaya

ham ab bhi dasht mein khema lagaaye baithe hain
hamaare hisse mein apna hi ghar nahin aaya

zameen baanjh na ho jaaye kuchh kaho azhar
sukhun ki shaakh pe kab se samar nahin aaya

वो माहताब अभी बाम पर नहीं आया
मिरी दुआओं में शायद असर नहीं आया

बहुत अजीब है यारों बुलंदियों का तिलिस्म
जो एक बार गया लौट कर नहीं आया

ये काएनात की वुसअत खुली नहीं मुझ पर
मैं अपनी ज़ात से जब तक गुज़र नहीं आया

बहुत दिनों से है बे-शक्ल सी मेरी मिट्टी
बहुत दिनों से कोई कूज़ा-गर नहीं आया

बस एक लम्हे को बे-पैराहन उसे देखा
फिर इस के बाद मुझे कुछ नज़र नहीं आया

हम अब भी दश्त में ख़ेमा लगाए बैठे हैं
हमारे हिस्से में अपना ही घर नहीं आया

ज़मीन बाँझ न हो जाए कुछ कहो 'अज़हर'
सुख़न की शाख़ पे कब से समर नहीं आया

  - Azhar Iqbal

Wajood Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhar Iqbal

As you were reading Shayari by Azhar Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Azhar Iqbal

Similar Moods

As you were reading Wajood Shayari Shayari