dayaar-e-gham se ham baahar nikal ke sher kahte hain | दयार-ए-ग़म से हम बाहर निकल के शेर कहते हैं

  - Balmohan Pandey

dayaar-e-gham se ham baahar nikal ke sher kahte hain
masaail hain bahut se un mein dhal ke sher kahte hain

dahakte aag ke sholoon pe chal ke sher kahte hain
hamein pehchaan lijye ham ghazal ke sher kahte hain

rivaayat ke pujaari is liye naaraz hain ham se
khata ye hai naye raston pe chal ke sher kahte hain

hamein tanhaaiyon ka shor jab bechain karta hai
ikatthi karte hain yaadein ghazal ke sher kahte hain

sitaaron ki tarah raushan hain jin ke lafz zehnon mein
vo shaayad mom ki soorat pighal ke sher kahte hain

hamaari shaay'ri us ko kahi rusva na kar dale
so us ke shehar mein thoda sambhal ke sher kahte

दयार-ए-ग़म से हम बाहर निकल के शेर कहते हैं
मसाइल हैं बहुत से उन में ढल के शेर कहते हैं

दहकते आग के शो'लों पे चल के शेर कहते हैं
हमें पहचान लीजे हम ग़ज़ल के शेर कहते हैं

रिवायत के पुजारी इस लिए नाराज़ हैं हम से
ख़ता ये है नए रस्तों पे चल के शेर कहते हैं

हमें तन्हाइयों का शोर जब बेचैन करता है
इकट्ठी करते हैं यादें ग़ज़ल के शेर कहते हैं

सितारों की तरह रौशन हैं जिन के लफ़्ज़ ज़ेहनों में
वो शायद मोम की सूरत पिघल के शेर कहते हैं

हमारी शाइ'री उस को कहीं रुस्वा न कर डाले
सो उस के शहर में थोड़ा सँभल के शेर कहते

  - Balmohan Pandey

Mood off Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Balmohan Pandey

As you were reading Shayari by Balmohan Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Balmohan Pandey

Similar Moods

As you were reading Mood off Shayari Shayari