bahut tha khauf jis ka phir wahi qissa nikal aaya | बहुत था ख़ौफ़ जिस का फिर वही क़िस्सा निकल आया

  - Bashar Nawaz

bahut tha khauf jis ka phir wahi qissa nikal aaya
mere dukh se kisi awaaz ka rishta nikal aaya

vo sar se paanv tak jaise sulagti shaam ka manzar
ye kis jaadu kii basti mein dil-e-tanha nikal aaya

jin aankhon kii udaasi mein biyaabaan saans lete hain
unhin kii yaad mein nagmon ka ye dariya nikal aaya

sulagte dil ke aangan mein hui khwaabon kii phir baarish
kahin konpal mahak utthi kahin patta nikal aaya

pighal uthta hai ik ik lafz jin honton kii hiddat se
main un kii aanch pee kar aur bhi sachcha nikal aaya

gumaan tha zindagi be-samt o be-manzil biyaabaan hai
magar ik naam par phoolon-bhara rasta nikal aaya

बहुत था ख़ौफ़ जिस का फिर वही क़िस्सा निकल आया
मिरे दुख से किसी आवाज़ का रिश्ता निकल आया

वो सर से पाँव तक जैसे सुलगती शाम का मंज़र
ये किस जादू की बस्ती में दिल-ए-तन्हा निकल आया

जिन आँखों की उदासी में बयाबाँ साँस लेते हैं
उन्हीं की याद में नग़्मों का ये दरिया निकल आया

सुलगते दिल के आँगन में हुई ख़्वाबों की फिर बारिश
कहीं कोंपल महक उट्ठी कहीं पत्ता निकल आया

पिघल उठता है इक इक लफ़्ज़ जिन होंटों की हिद्दत से
मैं उन की आँच पी कर और भी सच्चा निकल आया

गुमाँ था ज़िंदगी बे-सम्त ओ बे-मंज़िल बयाबाँ है
मगर इक नाम पर फूलों-भरा रस्ता निकल आया

  - Bashar Nawaz

More by Bashar Nawaz

As you were reading Shayari by Bashar Nawaz

Similar Writers

our suggestion based on Bashar Nawaz

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari