chaai ki pyaali mein neeli tablet gholi | चाय की प्याली में नीली टेबलेट घोली

  - Bashir Badr

chaai ki pyaali mein neeli tablet gholi
sahme sahme haathon ne ik kitaab phir khuli

daayere andheron ke raushni ke poron ne
coat ke button khole taai ki girah khuli

sheeshe ki silaai mein kaale bhoot ka chadhna
baam kaath ka ghoda neem kaanch ki goli

barf mein daba makhan maut rail aur riksha
zindagi khushi riksha rail motoren doli

ik kitaab chaand aur ped sab ke kaale collar par
zehan tape ki gardish munh mein toton ki boli

vo nahin mili ham ko huk button sarkati jeen
zip ke daant khulte hi aankh se giri choli

चाय की प्याली में नीली टेबलेट घोली
सहमे सहमे हाथों ने इक किताब फिर खोली

दाएरे अँधेरों के रौशनी के पोरों ने
कोट के बटन खोले टाई की गिरह खोली

शीशे की सिलाई में काले भूत का चढ़ना
बाम काठ का घोड़ा नीम काँच की गोली

बर्फ़ में दबा मक्खन मौत रेल और रिक्शा
ज़िंदगी ख़ुशी रिक्शा रेल मोटरें डोली

इक किताब चाँद और पेड़ सब के काले कॉलर पर
ज़ेहन टेप की गर्दिश मुँह में तोतों की बोली

वो नहीं मिली हम को हुक बटन सरकती जीन
ज़िप के दाँत खुलते ही आँख से गिरी चोली

  - Bashir Badr

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari