honton pe mohabbat ke fasaane nahin aate | होंटों पे मोहब्बत के फ़साने नहीं आते

  - Bashir Badr

honton pe mohabbat ke fasaane nahin aate
saahil pe samundar ke khazaane nahin aate

palkein bhi chamak uthati hain sone mein hamaari
aankhon ko abhi khwaab chhupaane nahin aate

dil ujadi hui ek saraaye ki tarah hai
ab log yahan raat jagaane nahin aate

yaaro naye mausam ne ye ehsaan kiye hain
ab yaad mujhe dard purane nahin aate

udne do parindon ko abhi shokh hawa mein
phir laut ke bachpan ke zamaane nahin aate

is shehar ke baadal tiri zulfon ki tarah hain
ye aag lagaate hain bujhaane nahin aate

ahbaab bhi ghairoon ki ada seekh gaye hain
aate hain magar dil ko dukhaane nahin aate

होंटों पे मोहब्बत के फ़साने नहीं आते
साहिल पे समुंदर के ख़ज़ाने नहीं आते

पलकें भी चमक उठती हैं सोने में हमारी
आँखों को अभी ख़्वाब छुपाने नहीं आते

दिल उजड़ी हुई एक सराए की तरह है
अब लोग यहाँ रात जगाने नहीं आते

यारो नए मौसम ने ये एहसान किए हैं
अब याद मुझे दर्द पुराने नहीं आते

उड़ने दो परिंदों को अभी शोख़ हवा में
फिर लौट के बचपन के ज़माने नहीं आते

इस शहर के बादल तिरी ज़ुल्फ़ों की तरह हैं
ये आग लगाते हैं बुझाने नहीं आते

अहबाब भी ग़ैरों की अदा सीख गए हैं
आते हैं मगर दिल को दुखाने नहीं आते

  - Bashir Badr

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari