ab to angaaron ke lab choom ke so jaayenge
ham vo pyaase hain jo daryaon ko tarsaayenge
khwaab aaine hain aankhon mein liye firte ho
dhoop mein chamkengi tootenge to chubh jaayenge
subh tak dil ke dareechon ko khula rahne do
dard gumraah farishte hain kahaan jaayenge
neend ki faakhta sahmi hui hai aankhon mein
teer yaadon ki kameen-gaahon se phir aayenge
अब तो अँगारों के लब चूम के सो जाएँगे
हम वो प्यासे हैं जो दरियाओं को तरसाएँगे
ख़्वाब आईने हैं आँखों में लिए फिरते हो
धूप में चमकेंगे टूटेंगे तो चुभ जाएँगे
सुब्ह तक दिल के दरीचों को खुला रहने दो
दर्द गुमराह फ़रिश्ते हैं कहाँ जाएँगे
नींद की फ़ाख़्ता सहमी हुई है आँखों में
तीर यादों की कमीं-गाहों से फिर आएँगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Garmi Shayari Shayari