jis kisi par bhi tera dar khul gaya hai | जिस किसी पर भी तेरा दर खुल गया है - Bhaskar Shukla

jis kisi par bhi tera dar khul gaya hai
ye samajh lijye muqaddar khul gaya hai

kyun talaashein raah baahar ki koi jab
raasta andar hi andar khul gaya hai

ek nazar mein loot gaya hai dil saraapa
ek hi chaabi se ghar bhar khul gaya hai

ek nadi sehraa ki hona chahti hai
ek nadi jis par samandar khul gaya hai

jaante to the magar dauraan-e-mushkil
ye zamaana aur behtar khul gaya hai

yaar ab to band kar baatein banaana
raaz tera shobdaagar khul gaya hai

ghalatiyaan gardan ki ab ginwaai jaayen
kiske haathon mein tha khanjar khul gaya hai

chand roz ab kuch naya hona nahin hai
meer ka ek sher hum par khul gaya hai

dil gali veeraan rahi kuch din tere bin
ab wahan yaadon ka daftar khul gaya hai

bhaaskar yun hi nahin khulta kahi bhi
dhyaan se suniye use gar khul gaya hai

जिस किसी पर भी तेरा दर खुल गया है
ये समझ लीजे मुक़द्दर खुल गया है

क्यों तलाशें राह बाहर की कोई जब
रास्ता अंदर ही अंदर खुल गया है

एक नज़र में लुट गया है दिल सरापा
एक ही चाबी से घर भर खुल गया है

एक नदी सेहरा की होना चाहती है
एक नदी जिस पर समन्दर खुल गया है

जानते तो थे मगर दौरान-ए-मुश्किल
ये ज़माना और बेहतर खुल गया है

यार अब तो बंद कर बातें बनाना
राज़ तेरा शोबदागर खुल गया है

ग़लतियाँ गर्दन की अब गिनवाई जायें
किसके हाथों में था ख़ंजर खुल गया है

चंद रोज़ अब कुछ नया होना नहीं है
मीर का एक शेर हम पर खुल गया है

दिल गली वीराँ रही कुछ दिन तेरे बिन
अब वहाँ यादों का दफ़्तर खुल गया है

भास्कर यूँ ही नहीं खुलता कहीं भी
ध्यान से सुनिए उसे गर खुल गया है

- Bhaskar Shukla
5 Likes

Nadii Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bhaskar Shukla

As you were reading Shayari by Bhaskar Shukla

Similar Writers

our suggestion based on Bhaskar Shukla

Similar Moods

As you were reading Nadii Shayari Shayari