dil chura kar nazar churaai hai | दिल चुरा कर नज़र चुराई है

  - Dagh Dehlvi

dil chura kar nazar churaai hai
loot gaye loot gaye duhaai hai

ek din mil ke phir nahin milte
kis qayamat ki ye judaai hai

ai asar kar na intizaar-e-dua
maangna sakht be-hayaai hai

main yahan hoon wahan hai dil mera
na-rasaai ajab rasai hai

is tarah ahl-e-naaz naaz karein
bandagi hai ki ye khudaai hai

paani pee pee ke tauba karta hoon
paarsaai si paarsaai hai

wa'da karne ka ikhtiyaar raha
baat karne mein kya buraai hai

kab nikalta hai ab jigar se teer
ye bhi kya teri aashnaai hai

daagh un se dimaagh karte hain
nahin maaloom kya samaai hai

दिल चुरा कर नज़र चुराई है
लुट गए लुट गए दुहाई है

एक दिन मिल के फिर नहीं मिलते
किस क़यामत की ये जुदाई है

ऐ असर कर न इंतिज़ार-ए-दुआ
माँगना सख़्त बे-हयाई है

मैं यहाँ हूँ वहाँ है दिल मेरा
ना-रसाई अजब रसाई है

इस तरह अहल-ए-नाज़ नाज़ करें
बंदगी है कि ये ख़ुदाई है

पानी पी पी के तौबा करता हूँ
पारसाई सी पारसाई है

वा'दा करने का इख़्तियार रहा
बात करने में क्या बुराई है

कब निकलता है अब जिगर से तीर
ये भी क्या तेरी आश्नाई है

'दाग़' उन से दिमाग़ करते हैं
नहीं मालूम क्या समाई है

  - Dagh Dehlvi

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari