raah par un ko laga laaye to hain baaton mein
aur khul jaayenge do chaar mulaqaaton mein
ye bhi tum jaante ho chand mulaqaaton mein
aazmaaya hai tumhein ham ne kai baaton mein
gair ke sar ki balaaen jo nahin len zalim
kya mere qatl ko bhi jaan nahin haathon mein
abr-e-rahmat hi barsta nazar aaya zaahid
khaak udti kabhi dekhi na kharaabaaton mein
yaarab us chaand ke tukde ko kahaan se laaun
raushni jis ki ho in taaron bhari raaton mein
tumheen insaaf se ai hazrat naaseh kah do
lutf un baaton mein aata hai ki in baaton mein
daud kar dast-e-dua saath dua ke jaate
haaye paida na hue paanv mere haathon mein
jalwa-e-yaar se jab bazm mein ghash aaya hai
to raqeebon ne sambhaala hai mujhe haathon mein
aisi taqreer sooni thi na kabhi shokh-o-shareer
teri aankhon ke bhi fitne hain tiri baaton mein
ham se inkaar hua gair se iqaar hua
faisla khoob kiya aap ne do baaton mein
haft aflaak hain lekin nahin khulta ye hijaab
kaun sa dushman-e-ushshaq hain in saaton mein
aur sunte abhi rindon se janaab-e-waaiz
chal diye aap to do-chaar salaavaton mein
ham ne dekha unhin logon ko tira dam bharte
jin ki shohrat thi ye hargiz nahin in baaton mein
bheje deta hai unhen ishq mata-e-dil-o-jaan
ek sarkaar luti jaati hai sougaaton mein
dil kuchh aagaah to ho shewa-e-ayyaari se
is liye aap ham aate hain tiri ghaaton mein
vasl kaisa vo kisi tarah bahalte hi na the
shaam se subh hui un ki mudaaraaton mein
vo gaye din jo rahe yaad buton ki ai daagh
raat bhar ab to guzarti hai munaajaaton mein
राह पर उन को लगा लाए तो हैं बातों में
और खुल जाएँगे दो चार मुलाक़ातों में
ये भी तुम जानते हो चंद मुलाक़ातों में
आज़माया है तुम्हें हम ने कई बातों में
ग़ैर के सर की बलाएँ जो नहीं लें ज़ालिम
क्या मिरे क़त्ल को भी जान नहीं हाथों में
अब्र-ए-रहमत ही बरसता नज़र आया ज़ाहिद
ख़ाक उड़ती कभी देखी न ख़राबातों में
यारब उस चाँद के टुकड़े को कहाँ से लाऊँ
रौशनी जिस की हो इन तारों भरी रातों में
तुम्हीं इंसाफ़ से ऐ हज़रत नासेह कह दो
लुत्फ़ उन बातों में आता है कि इन बातों में
दौड़ कर दस्त-ए-दुआ' साथ दुआ के जाते
हाए पैदा न हुए पाँव मिरे हाथों में
जल्वा-ए-यार से जब बज़्म में ग़श आया है
तो रक़ीबों ने सँभाला है मुझे हाथों में
ऐसी तक़रीर सुनी थी न कभी शोख़-ओ-शरीर
तेरी आँखों के भी फ़ित्ने हैं तिरी बातों में
हम से इंकार हुआ ग़ैर से इक़रार हुआ
फ़ैसला ख़ूब किया आप ने दो बातों में
हफ़्त अफ़्लाक हैं लेकिन नहीं खुलता ये हिजाब
कौन सा दुश्मन-ए-उश्शाक़ हैं इन सातों में
और सुनते अभी रिंदों से जनाब-ए-वाइज़
चल दिए आप तो दो-चार सलावातों में
हम ने देखा उन्हीं लोगों को तिरा दम भरते
जिन की शोहरत थी ये हरगिज़ नहीं इन बातों में
भेजे देता है उन्हें इश्क़ मता-ए-दिल-ओ-जाँ
एक सरकार लुटी जाती है सौग़ातों में
दिल कुछ आगाह तो हो शेवा-ए-अय्यारी से
इस लिए आप हम आते हैं तिरी घातों में
वस्ल कैसा वो किसी तरह बहलते ही न थे
शाम से सुब्ह हुई उन की मुदारातों में
वो गए दिन जो रहे याद बुतों की ऐ 'दाग़'
रात भर अब तो गुज़रती है मुनाजातों में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi
our suggestion based on Dagh Dehlvi
As you were reading Raushni Shayari Shayari