uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin | उज़्र आने में भी है और बुलाते भी नहीं

  - Dagh Dehlvi

uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baa'is-e-tark-e-mulaqaat bataate bhi nahin

muntazir hain dam-e-rukhsat ki ye mar jaaye to jaayen
phir ye ehsaan ki ham chhod ke jaate bhi nahin

sar uthao to sahi aankh milaao to sahi
nashsha-e-may bhi nahin neend ke maate bhi nahin

kya kaha phir to kaho ham nahin sunte teri
nahin sunte to ham aison ko sunaate bhi nahin

khoob parda hai ki chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin

mujh se laaghar tiri aankhon mein khatkate to rahe
tujh se naazuk meri nazaron mein samaate bhi nahin

dekhte hi mujhe mehfil mein ye irshaad hua
kaun baitha hai use log uthaate bhi nahin

ho chuka qat'a ta'alluq to jafaaen kyun hon
jin ko matlab nahin rehta vo sataate bhi nahin

zeest se tang ho ai daagh to jeete kyun ho
jaan pyaari bhi nahin jaan se jaate bhi nahin

उज़्र आने में भी है और बुलाते भी नहीं
बाइस-ए-तर्क-ए-मुलाक़ात बताते भी नहीं

मुंतज़िर हैं दम-ए-रुख़्सत कि ये मर जाए तो जाएँ
फिर ये एहसान कि हम छोड़ के जाते भी नहीं

सर उठाओ तो सही आँख मिलाओ तो सही
नश्शा-ए-मय भी नहीं नींद के माते भी नहीं

क्या कहा फिर तो कहो हम नहीं सुनते तेरी
नहीं सुनते तो हम ऐसों को सुनाते भी नहीं

ख़ूब पर्दा है कि चिलमन से लगे बैठे हैं
साफ़ छुपते भी नहीं सामने आते भी नहीं

मुझ से लाग़र तिरी आँखों में खटकते तो रहे
तुझ से नाज़ुक मिरी नज़रों में समाते भी नहीं

देखते ही मुझे महफ़िल में ये इरशाद हुआ
कौन बैठा है उसे लोग उठाते भी नहीं

हो चुका क़त्अ तअ'ल्लुक़ तो जफ़ाएँ क्यूँ हों
जिन को मतलब नहीं रहता वो सताते भी नहीं

ज़ीस्त से तंग हो ऐ 'दाग़' तो जीते क्यूँ हो
जान प्यारी भी नहीं जान से जाते भी नहीं

  - Dagh Dehlvi

Naqab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Naqab Shayari Shayari