awaaz ki doori pe khada soch raha hoon | आवाज़ की दूरी पे खड़ा सोच रहा हूँ

  - Danish Naqvi

awaaz ki doori pe khada soch raha hoon
ab kaun mujhe dega sada soch raha hoon

chhoti si nazar aati hai itaraaf ki har shay
is waqt main kuchh itna bada soch raha hoon

kya sochna tha mujh ko tire baare mein lekin
afsos tire baare mein kya soch raha hoon

tu ne to mere baare mein socha bhi nahin hai
main phir bhi koi achha bura soch raha hoon

jis din se uthiin mujh pe tiri sabz si aankhen
main ped nahin phir bhi haraa soch raha hoon

nuksaan bahut se the gaye saal ke daanish
lekin tire baare mein bada soch raha hoon

आवाज़ की दूरी पे खड़ा सोच रहा हूँ
अब कौन मुझे देगा सदा सोच रहा हूँ

छोटी सी नज़र आती है अतराफ़ की हर शय
इस वक़्त मैं कुछ इतना बड़ा सोच रहा हूँ

क्या सोचना था मुझ को तिरे बारे में लेकिन
अफ़्सोस तिरे बारे में क्या सोच रहा हूँ

तू ने तो मिरे बारे में सोचा भी नहीं है
मैं फिर भी कोई अच्छा बुरा सोच रहा हूँ

जिस दिन से उठीं मुझ पे तिरी सब्ज़ सी आँखें
मैं पेड़ नहीं फिर भी हरा सोच रहा हूँ

नुक़सान बहुत से थे गए साल के 'दानिश'
लेकिन तिरे बारे में बड़ा सोच रहा हूँ

  - Danish Naqvi

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Danish Naqvi

As you were reading Shayari by Danish Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Danish Naqvi

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari