gaya ki sail-e-ravaan ka bahaav aisa tha
vo ek khwaab jo kaaghaz ki naav aisa tha
kisi ko bhi na tha aasaan saans ka lena
meri zameen pe hawa ka dabaav aisa tha
lahu ki dhaar salaamat rahi na saans ka taar
mujhe jo kaat gaya vo kataav aisa tha
vo timtimaata to us ki ziya bhi kam padti
kisi diye se lahu ka lagaav aisa tha
vo ek tha jo mujhe chaar-soo dikhaai diya
main jang haar gaya hoon ki daav aisa tha
mujhe to laaj ke ujle libaas mein vo badan
gulaab barf mein jaise chhupao aisa tha
bane hain naag mere ban mein ped jitne the
lagi hai aag saba ka subhaav aisa tha
गया कि सैल-ए-रवाँ का बहाव ऐसा था
वो एक ख़्वाब जो काग़ज़ की नाव ऐसा था
किसी को भी न था आसान साँस का लेना
मिरी ज़मीं पे हवा का दबाव ऐसा था
लहू की धार सलामत रही न साँस का तार
मुझे जो काट गया वो कटाव ऐसा था
वो टिमटिमाता तो उस की ज़िया भी कम पड़ती
किसी दिए से लहू का लगाव ऐसा था
वो एक था जो मुझे चार-सू दिखाई दिया
मैं जंग हार गया हूँ कि दाव ऐसा था
मुझे तो लाज के उजले लिबास में वो बदन
गुलाब बर्फ़ में जैसे छुपाओ ऐसा था
बने हैं नाग मिरे बन में पेड़ जितने थे
लगी है आग सबा का सुभाव ऐसा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daniyal Tareer
our suggestion based on Daniyal Tareer
As you were reading Badan Shayari Shayari