le daam-e-nigaah-e-yaar aaya
karne koon mujhe shikaar aaya
kyun aave na mujh badan soon khush baas
mujh bar mein vo gul-izaar aaya
khat dekh tere rukh oopar aaghaaz
aaina oopar ghubaar aaya
jis baaz thi dil koon be-qaraari
vo dil ka mere qaraar aaya
zaahid ne apas ka zohad taqwa
kooche mein tere bisaar aaya
nikla hai raqeeb-e-gul-badan saath
le gul ki panaah khaar aaya
mujh parda-e-dil pe saaz kar gham
ho naala mera sitaar aaya
shabnam nahin har sehar ai daaud
tujh gham soon gul-e-ashk-baar aaya
ले दाम-ए-निगाह-ए-यार आया
करने कूँ मुझे शिकार आया
क्यूँ आवे न मुझ बदन सूँ ख़ुश बास
मुझ बर में वो गुल-इज़ार आया
ख़त देख तेरे रुख़ ऊपर आग़ाज़
आईना ऊपर ग़ुबार आया
जिस बाज थी दिल कूँ बे-क़रारी
वो दिल का मिरे क़रार आया
ज़ाहिद ने अपस का ज़ोहद तक़्वा
कूचे में तेरे बिसार आया
निकला है रक़ीब-ए-गुल-बदन सात
ले गुल की पनाह ख़ार आया
मुझ पर्दा-ए-दिल पे साज़ कर ग़म
हो नाला मेरा सितार आया
शबनम नहीं हर सहर ऐ 'दाऊद'
तुझ ग़म सूँ गुल-ए-अश्क-बार आया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daud Aurangabadi
our suggestion based on Daud Aurangabadi
As you were reading Udas Shayari Shayari