khirka-poshi mein khud-numaai hai | ख़िर्क़ा-पोशी में ख़ुद-नुमाई है

  - Daud Aurangabadi

khirka-poshi mein khud-numaai hai
haath bas kaasa-e-gadaai hai

boriya bhi nahin use darkaar
jis ke tai shauq-e-be-riyaai hai

gul sab hanste hain bazm-e-gulshan mein
ishq-e-bulbul magar riyaai hai

jald jaati hai aasmaan oopar
aah meri ajab havaai hai

sham-e-meena ke noor soon saaqi
mehfil dil mein roshnai hai

har ghadi dekhta hai darpan koon
shokh mein tarz-e-khud-numaai hai

jab soon dekha hoon us ki zulf-e-daraaz
tab soon mujh fikr mein rasai hai

kaan yu dekha hai khwaab mein makhmal
tujh kaf-e-paa mein jo safaai hai

kyun na hue maah-e-nau misaal-e-azeez
jis mane rasm-e-kam-numaai hai

dast-e-gul-roo mein pahunchne daaud
kaaghaz-e-khat mera hinaai hai

ख़िर्क़ा-पोशी में ख़ुद-नुमाई है
हाथ बस कासा-ए-गदाई है

बोरिया भी नहीं उसे दरकार
जिस के तईं शौक़-ए-बे-रियाई है

गुल सब हँसते हैं बज़्म-ए-गुलशन में
इश्क़-ए-बुलबुल मगर रियाई है

जल्द जाती है आसमाँ ऊपर
आह मेरी अजब हवाई है

शम्-ए-मीना के नूर सूँ साक़ी
महफ़िल दिल में रौशनाई है

हर घड़ी देखता है दर्पन कूँ
शोख़ में तर्ज़-ए-ख़ुद-नुमाई है

जब सूँ देखा हूँ उस की ज़ुल्फ़-ए-दराज़
तब सूँ मुझ फ़िक्र में रसाई है

काँ यू देखा है ख़्वाब में मख़मल
तुझ कफ़-ए-पा में जो सफ़ाई है

क्यूँ न हुए माह-ए-नौ मिसाल-ए-अज़ीज़
जिस मने रस्म-ए-कम-नुमाई है

दस्त-ए-गुल-रू में पहुँचने 'दाऊद'
काग़ज़-ए-ख़त मिरा हिनाई है

  - Daud Aurangabadi

Afsos Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daud Aurangabadi

As you were reading Shayari by Daud Aurangabadi

Similar Writers

our suggestion based on Daud Aurangabadi

Similar Moods

As you were reading Afsos Shayari Shayari